Moj App per ID kaise banaye ?

Moj app me id kaise banaye ?

Moj app me id banana bahot hi aasani se aap bana sakte hai bas aap apne mobile number gmail id facebook account se bhi bana sakte hai ise banane ka step wise process niche diya gaya hai 

Moj app me id banane ka step wise process

1. Moj app download kare

Sabse pahle apko playstore app me Jana hoga usme moj app search karna hoga aur waha se aapko apne mobile me install karna hoga agar waha se nahi kar pa rahe hai aap toh maine aapko moj app ka link de diya hai moj app link per click karke aap moj app download kar sakte hai 

2.moj app open kare aur language chune 

Moj app install hone ke baad aapko moj app open karna hai usme sabse pahle aapko language select karne ka option ayega apne language ke hisab se aapko language chunne hogi jaise hindi English marathi telgu tamil hydrabadi kaddani jo aapko language ati hai use chun le

3.profile session me jaye

Moj app open karne ke baad language select karne ke baad aapko dahini or aapko profile ya view user ka option dikhega use open kar lena hai

4.log in ya singh up chune 

Profile me click karne ke baad aapko login ya singh up button per click karna hai ab aapko account banane ke 3 tarike dikhenge 

  • phone number :

aap apna mobile number dalke aap singh up kar sakte hai aapke mobile number per 6 digit ka otp ayega jab aap apne mobile number se login karenge OTP aane me baad use darz kar de aur verification per click karke verify kar lo

  • continue with Google :

aapne Apne Gmail id se bhi direct login kar sakte hai moj app me agar mail id nahi hai toh aapko mail id banane ka option open ho jayega..Gmail id kaise banana hai aapko link de diya hai isme jaake aap Sikh sakte hai gmail id kaise banaye karke link per click kare

  • continue with Facebook: 

agar aapke pass mobile number available nahi hai aur Google account bhi available nahi hai toh aap apne Facebook ke account se bhi direct login kar sakte hai agar aapko Facebook me id banana sikhna hai toh link per click kare

Important notice : mobile number aur gmail id se moj app me id banane se aapka account safe rehta hai jyda 

5. Apni profile set up kare 

Moj app me id open hone ke baad aap apne I'd ko attractive banane ke liye ye tarike ko follow kar sakte hai 

profile photo : ek achchi si apni photo lagaye

name & username : aapka naam fill kare aur username bana le

Bio : aap apne bare me 3-4 lines likh do jaise aap kis type ki video banate hai

Gender & date of birth : gender select kare male ho toh male female ho toh female select kare aur date of birth bhar de

Save per click kare

Ab aapko moj I'd ban chuki hai aap aap chahe toh reels dekh sakte hai comment kar sakte hai line kar sakte hai aur apni khud ki video bhi upload kar sakte hai



Post a Comment

0 Comments